Wednesday, July 28, 2010

3 Beti ki vidaai


Seema aaj ek kone me baith na jaane kitne saal peeche chali gyi thi.Aur chahte hue bhi wah wapas nhi aana chaah rhi thi apne vartamaan me.Jitna sukhad woh ateet tha utni hi dardnaak uska ye vartmaan…………..





Abhi kuch hi dino pehle ki to baat hai seema kitni khush thi…Use bachpan se hi shauk tha ki uski ek beti ho.Choti si nanhi si idhar udhar uchalti jo saare bandishon se aazad ho aur har khushi se aabaad ho.Wo use har wo khushi dena chahti thi jo uske maata pita usse na de paaye the.Seema ek madhhyavargiya parivaar se thi.Uske pita kisi sarkaari firm me clerk the.Seema apne saare shouk apni beti se jeena chahti thi…Aur isliye to aaj apni beti ke janm pe usne apne ghar ko kisi mahal se kam nhi sajaaya tha.Ghar pe logon ki mehfil saji thi.Tarah tarah ke pakwaan seema ne khud apne haathon se banae the.Ramesh ne jo shaadi pe banarasi saree di thi shayad  aaj hi ke liye sanjoyi hui thi wo.Kya khil rahi thi wo aaj is saari me.Par aaj ye bhi chamak pheeki thi.Paalne me leti seema ki choti si gudiya aaj to jaise saari chamak usi se hokar aa rhi thi.Seema ko kuch nhi chahiye tha.Bhagwaan ki kripa se aaj uske paas sab kuch tha.Ramesh achhe pad pe sushobhit tha aur seema ko kisi cheez ki kami na thi aur jis cheez ki kami thi wo bhi  aaj puri ho gyi thi.Aaj jab ramesh daftar se laute the to daudkar use apne aalingan me bhar liye the kyunki aaj unke ghar ek noor aaya tha ek aisa noor jisse seema ka bas chlta to puri duniya se chipa kar rakhti.
Tabhi zor se se rone ki aawaz sunkar Seema apne vartamaan me aa gyi thi.Ek aisa vartamaan jahan uski beti usse alag hoke jaa rhi thi.Wo jaan rhi thi ki bas kuch hi palon me uski gudiya vidaa kar di jaayegi par jaise uske pair jawaab de chuke hon.Wo koshish karti reh gyi par na jaa saki baahar.Saamne deewar pe tange chitra ko dekh Seema apne ateet me jaane se pehle 1 baar bhi na sochi………

Aaj gudiya paanch saal ki ho gyi thi.Subah uthte hi Seema ne uske upar jaise uphaaron ki bauchhar kar di thi.Kai tarah ke chocolate aur pata nhi kitne saare rangbirange kapde uske chaaron taraf bikhre pade the…Par phir bhi apni gudiya ko naakhush dekh jaise  Seema ka dil baith ja rha tha.Apni maa ke paas jaake jab gudiya ne diwaar pe tange chitra ko dikhakar kaha”Maa mujhe bhi aichha hi ladka laa dogi na”to Seema apne hansi ko naa chipa payi thi.Bachpan se hi gudiya ko shaadi ka bohot shauk tha kehti thi ki maa jab main sajungi na apne shaadi me to duniya dekhegi..
Din beete chale gye..
Gudiya apne barahvi ke pariksha me pratham aayi aur apni padhai krne america jaane ki zidd kar baithi..Seema jo kbhi apne gaaon se bahar tak nhi gyi thi yeh sunkar kaafi sehem si uthi thi.Usne to mann bana liya tha ki kuch bhi ho par gudiya ko apne se dur na jaane degi..Par shehzaadi manne waali kahan thi..Bachpan se apni saari khwaabon ko hakikat me badalte dekhne ki aadat si ho gyi thi gudiya ko.Uske zidd krne pe Seema ko manna hi pada.Aur chli gyi Gudiya america.
Apni padhai khatm kar wahin ek job krne lgi thi Gudiya.woh har saal ghar dher saara paisa bhej diya krti thi aur seema mana krte reh jaati thi.Ghar me charpaai se leke ac tak sab Gudiya ne hi bhej diya tha.
Ab to use America gye 6 saal ho gye the aur apni maa ke kai saal ke zidd ke baad aaj gudiya wapas ghar aa rhi thi.apna saara kaam chorkar india me hi sttle hone.Seema ke khushi ka koi thikaana na tha..Subah se hi Gudiya ke saare pasandida pakwaan ban rhe the..Padosiyon ko to 10 din pehle se khabar kar gyi thi Seema ki uski beti aaj aa rhi hai..Chori chipe Seema ne Gudiya ke liye 1 yogya ladka bhi talaash kar liya tha ...

Abhi wo Gudiya ke pasandeeda ladoo bana kar uthi hi thi ki Ramesh ki awaaz sunaai di.Abhi kuch hi der pehle to wo daftar gye the.Pati ko itni jaldi ghar aate dekh Seema ne vyangya kiya,”Aapko bhi beti ke aane ke mauke pe daftar me mann nhi lag rha na”….Par Ramesh ke chehre pe koi bhaav na tha.Wo to jaise kisi gehre soch me the.Seema se rha na gya aur unke paas jaakar unse puchne hi waali thi kuch ki ramesh ne uthkar Seema ko apne gale se laga liya aur aise rone lage jaise kisi ne 4 saal ke bachhe se uska manpasand khilona cheeen liya ho…Seema k baalon ko sehlaate hue dheere se unhone kaha”Gudiya chali gyi seemu hum sab ko chor k chali gyi bohot dur…..bohot dur………….”
Air India ki plane crash me hue 6 mauton me ek Seema ki gudiya bhi thi……………………
Bahar farsh pe pada tha Gudiya ka mrita shareer aur Seema ek kone me murti ki bhaanti baithi hui thi.Ek maa ke liye isse badi saza kya hogi ki uski aulaad uske rehte duniya se chali jaaye..tabhi achaanak se kisi ki aawaaz aayi “Seema Gudiya jaa rhi hai.”
Achanak se Seema uthi aur darwaaze pe daud kar gyi to Gudiya ke shareer ko agni ke hawaale krne k liye le jaaya jaa rha tha..Seema andar aayi aur apni beti ki shaadi k liye khareeda wo reshmi silk saari lekar baahar aa gyi….daud kar jaake uske shareer ke upar kafan ki tarah faila kar wo bas yahi keh paayi….”Aaj meri beti ki vidaai ho rhi hai aur aap log ise aise adhure aur ujde kapdon me kyun le jaa rhe hain……………………………………………..”

*********************************************************************************

NOTE:This story is a dedication to all those people and their families who lost their lives in Mangalore AIR INDIA crash…….May their soul rest in   peace………………………………

GIRL child is your treasured possession……Preserve them…………………

3 comments:

dhawal said...

quite a touching one....!!!
:)

Angel said...

:'(
it left me in dis state!....wat els can i say....
(May their souls rest in peace)

harsh said...

Superb piece of work sir avi!!!

back to top Back to top